hum par tumhaari chah ka ilzam hi to hai
dushnam to nahin hai ye ikram hi to hai
karte hain jis pe tan koi jurm to nahin
shauq-e-fuzul o ulfat-e-nakaam hi to hai
dil muddai ke harf-e-malamat se shad hai
ai jaan-e-jaan ye harf tera nam hi to hai
dil na-umid to nahin nakaam hi to hai
lambi hai gham ki sham magar sham hi to hai
dast-e-falak mein gardish-e-taqdir to nahin
dast-e-falak mein gardish-e-ayyam hi to hai
aaKHir to ek roz karegi nazar wafa
wo yar-e-KHush-KHisal sar-e-baam hi to hai
bhigi hai raat 'faiz' ghazal ibtida karo
waqt-e-sarod dard ka hangam hi to hai
Ghazal
Hum par tumhaari chah ka ilzam hi to hai
Faiz Ahmad Faiz