hum ne KHud apni rahnumai ki
aur shohrat hui KHudai ki
main ne duniya se mujh se duniya ne
saikDon bar bewafai ki
khule rahte hain sare darwaze
koi surat nahin rihai ki
TuT kar hum mile hain pahli bar
ye shuruat hai judai ki
soe rahte hain oDh kar KHud ko
ab zarurat nahin razai ki
manzilen chumti hain mere qadam
dad dije shikasta-pai ki
zindagi jaise-taise kaTni hai
kya bhalai ki kya burai ki
ishq ke karobar mein hum ne
jaan de kar baDi kamai ki
ab kisi ki zaban nahin khulti
rasm jari hai munh-bharai ki
Ghazal
Humne KHud apni rahnumai ki
Rahat Indori