hum na honge to hamein yaad karoge yaro
tazkire honge yahi jab bhi miloge yaro
hum ne rudad-e-wafa KHud se murattab ki hai
dastan phir ye kabhi sun na sakoge yaro
hum na honge to kise paoge dil ka mahram
hum na honge to ye dukh kis se kahoge yaro
mahfilen yunhi rahengi yunhi yaron ke hujum
lekin ek baat jise phir na sunoge yaro
hum se zinda hai rah-o-rasm-e-mohabbat ab tak
us ko jaan de ke kahan zinda rakhoge yaro
hum ne har bar hawadis ki kalai moDi
tum unhen kis tarah maghlub karoge yaro
zikr hoga lab-e-ayyam pe aksar apna
tum hamein mushaf-e-alam mein paDhoge yaro
waqt pujega hamein waqt hamein DhunDega
aur tum waqt ke ham-rah chaloge yaro
hamin tariKH-e-zamana ke murattab hain 'KHaliq'
hamein tariKH mein ek roz kahoge yaro
Ghazal
Hum na honge to hamein yaad karoge yaro
Khaleeq Qureshi