اردو हिंदी
Hum ji rahe hain koi bahana kiye baghair | Shaahi Shayari
hum ji rahe hain koi bahana kiye baghair

Ghazal

Hum ji rahe hain koi bahana kiye baghair

Jaun Eliya

;

hum ji rahe hain koi bahana kiye baghair
us ke baghair us ki tamanna kiye baghair

ambar us ka parda-e-hurmat bana miyan
diwar tak nahin giri parda kiye baghair

yaran wo jo hai mera masiha-e-jaan-o-dil
be-had aziz hai mujhe achchha kiye baghair

main bistar-e-KHayal pe leTa hun us ke pas
subh-e-azal se koi taqaza kiye baghair

us ka hai jo bhi kuchh hai mera aur main magar
wo mujh ko chahiye koi sauda kiye baghair

ye zindagi jo hai use mana bhi chahiye
wada hamein qubul hai ifa kiye baghair

ai qatilon ke shahr bas itni hi arz hai
main hun na qatl koi tamasha kiye baghair

murshid ke jhuT ki to saza be-hisab hai
tum chhoDiyo na shahr ko sahra kiye baghair

un aanganon mein kitna sukun o surur tha
aaraish-e-nazar teri parwa kiye baghair

yaran KHusha ye roz o shab-e-dil ki ab hamein
sab kuchh hai KHush-gawar gawara kiye baghair

girya-kunan ki fard mein apna nahin hai nam
hum girya-kun azal ke hain girya kiye baghair

aaKHir hain kaun log jo baKHshe hi jaenge
tariKH ke haram se tauba kiye baghair

wo sunni bachcha kaun tha jis ki jafa ne 'jaun'
shia bana diya hamein shia kiye baghair

ab tum kabhi na aaoge yani kabhi kabhi
ruKHsat karo mujhe koi wada kiye baghair