اردو हिंदी
Hairat se takta hai sahra barish ke nazrane ko | Shaahi Shayari
hairat se takta hai sahra barish ke nazrane ko

Ghazal

Hairat se takta hai sahra barish ke nazrane ko

Saud Usmani

;

hairat se takta hai sahra barish ke nazrane ko
kitni dur se aai hai ye ret se hath milane ko

sat suron ki lahron pe halkore lete phul se hain
ek madhosh faza sunti hai ek chiDiya ke gane ko

bolti ho to yun hai jaise phul pe titli Dolti ho
tum ne kaisa sabz kiya hai aur kaise virane ko

lekin un se aur tarah ki raushniyan si phuT paDin
aansu to mil kar nikle the aankh ke rang chhupane ko

jaise koi jism ke andar diwaren si toDta hai
dekho is pagal wahshi ko roko is diwane ko