hairat-e-jalwa muqaddar hai to jalwa kya hai
tujh se wabasta hai dil warna tamasha kya hai
koi din aur gham-e-hijr mein shadan ho len
abhi kuchh din mein samajh jaenge duniya kya hai
dil to ek aur hi aahang pe hai raqs-kunan
dil ka is umr-e-faromaya se rishta kya hai
hum use bhul chuke hain magar ai daur-e-hayat
samne aaankhon ke ye surat-e-zeba kya hai
jine walon se kaho koi tamanna DhunDen
hum to aasuda-e-manzil hain hamara kya hai
Ghazal
Hairat-e-jalwa muqaddar hai to jalwa kya hai
Mahmood Ayaz