hath chhuTen bhi to rishte nahin chhoDa karte
waqt ki shaKH se lamhe nahin toDa karte
jis ki aawaz mein silwaT ho nigahon mein shikan
aisi taswir ke TukDe nahin joDa karte
lag ke sahil se jo bahta hai use bahne do
aise dariya ka kabhi ruKH nahin moDa karte
jagne par bhi nahin aankh se girtin kirchen
is tarah KHwabon se aankhen nahin phoDa karte
shahd jine ka mila karta hai thoDa thoDa
jaane walon ke liye dil nahin thoDa karte
ja ke kohsar se sar maro ki aawaz to ho
KHasta diwaron se matha nahin phoDa karte
Ghazal
Hath chhuTen bhi to rishte nahin chhoDa karte
Gulzar