haal-e-gham un ko sunate jaiye
shart ye hai muskuraate jaiye
aap ko jate na dekha jaega
shama ko pahle bujhate jaiye
shukriya lutf-e-musalsal ka magar
gahe gahe dil dukhate jaiye
dushmanon se pyar hota jaega
doston ko aazmate jaiye
raushni mahdud ho jin ki 'KHumar'
un charaghon ko bujhate jaiye
Ghazal
Haal-e-gham un ko sunate jaiye
Khumar Barabankavi