اردو हिंदी
Gum-karda-rah KHak-basar hun zara Thahar | Shaahi Shayari
gum-karda-rah KHak-basar hun zara Thahar

Ghazal

Gum-karda-rah KHak-basar hun zara Thahar

Zulfiqar Ali Bukhari

;

gum-karda-rah KHak-basar hun zara Thahar
ai tez-rau ghubar-e-safar hun zara Thahar

raqs-e-numud yak do nafas aur bhi sahi
dosh-e-hawa pe misl-e-sharar hun zara Thahar

apna KHiram tez na kar ai nasim-e-zist
bujhne ko hun charagh-e-sahar hun zara Thahar

wo din qarib hai ki mein aankhon ko mund lun
yani halak-e-zauq-e-nazar hun zara Thahar

ai dost meri talKH-nawai pe tu na ja
shirin misal-e-KHwab-e-sahar hun zara Thahar

jis rah se uTha hun wahin baiTh jaunga
main karwan ki gard-e-safar hun zara Thahar

ai shahsawar-e-husn mujhe raund kar na ja
wamanda misl-e-rahguzar hun zara Thahar

ai aaftab-e-husn meri kya bisat hai
daryuza-gar hun nur-e-qamar hun zara Thahar

mauhum si umid hun mujh se gurez kya
apni kisi dua ka asar hun zara Thahar