gaya to husn na diwar mein na dar mein tha
wo ek shaKHs jo mehman mere ghar mein tha
najat dhup se milti to kis tarah milti
mera safar to miyan dasht-e-be-shajar mein tha
gham-e-zamana ki nagan ne Das liya sab ko
wahi bacha jo teri zulf ke asar mein tha
khuli jo aankh to afsun-e-KHwab TuT gaya
abhi abhi koi chehra meri nazar mein tha
na aai ghar mein kabhi ek kiran bhi suraj ki
agarche mera makan wadi-e-sahar mein tha
mila na ghar se nikal kar bhi chain ai 'zahid'
khuli faza mein wahi zahr tha jo ghar mein tha
Ghazal
Gaya to husn na diwar mein na dar mein tha
Abul Mujahid Zahid