garm-e-fughan hai jaras uTh ki gaya qafila
wae wo rah-rau ki hai muntazir-e-rahila
teri tabiat hai aur tera zamana hai aur
tere muafiq nahin KHanqahi silsila
dil ho ghulam-e-KHirad ya ki imam-e-KHirad
salik-e-rah hoshiyar saKHt hai ye marhala
us ki KHudi hai abhi sham-o-sahar mein asir
gardish-e-dauran ka hai jis ki zaban par gila
tere nafas se hui aatish-e-gul tez-tar
murgh-e-chaman hai yahi teri nawa ka sila
Ghazal
Garm-e-fughan hai jaras uTh ki gaya qafila
Allama Iqbal