gard-e-firaq ghaza kash-e-aina na ho
chaho jo tum to apne tasarruf mein kya na ho
sajde ke har nishan pe hai KHun sa jama hua
yaro ye us ke ghar ka kahin rasta na ho
zaKHmon ki mishalen liye guzra hai dil se kaun
yaadon ka koi bhaTka hua qafila na ho
kab se khaDa hun ek do-rahe pe but bana
sab kuchh jo dekhta ho magar bolta na ho
chumo lagao aankhon se sar par rakkho use
ye zindagi waraq kisi injil ka na ho
sau bar ek gali mein mujhe le gaya ye wahm
khiDki se koi maslahatan jhankta na ho
sharma gae the donon hi pahli nazar ke baad
shayad tumhein to yaad bhi wo waqia na ho
lao na mere samne aariz ke aaftab
chehre pe koi harf-e-tamanna likha na ho
mazi ke reg-zar pe rakhna sambhal ke panw
bachchon ka is mein koi gharaunda bana na ho
ho kar juda bhi us se 'naimi' main ji to lun
lekin ye Dar hai is se kahin wo KHafa na ho
Ghazal
Gard-e-firaq ghaza kash-e-aina na ho
Abdul Hafiz Naeemi