gar ghair ke ghar se na dil-aram nikalta
dam kahe ko yun ai dil-e-nakaam nikalta
main wahm se marta hun wahan roab se us ke
qasid ki zaban se nahin paigham nikalta
karte jo mujhe yaad shab-e-wasl adu tum
kya subh ki KHurshed na ta-sham nikalta
jab jaante tasir ki dushman bhi wahan se
apni tarah ai gardish-e-ayyam nikalta
har ek se us bazm mein shab puchhte the nam
tha lutf jo koi mera hamnam nikalta
kyun kaam talab hai mere aazar se gardun
nakaam se dekha hai kahin kaam nikalta
thi nauha-zani dil ki janaze pe zaruri
shayad ki wo ghabra ke sar-e-baam nikalta
kanTa sa khaTakta hai kaleje mein gham-e-hijr
ye KHar nahin dil se gul-andam nikalta
huren nahin 'momin' ke nasibon mein jo hoen
but-KHane hi se kyun ye bad-anjam nikalta
Ghazal
Gar ghair ke ghar se na dil-aram nikalta
Momin Khan Momin