اردو हिंदी
Gham hai wahin pa gham ka sahaara guzar gaya | Shaahi Shayari
gham hai wahin pa gham ka sahaara guzar gaya

Ghazal

Gham hai wahin pa gham ka sahaara guzar gaya

Adeem Hashmi

;

gham hai wahin pa gham ka sahaara guzar gaya
dariya Thahar gaya hai kinara guzar gaya

bas ye safar hayat ka itni si zindagi
kyun itni jaldi rasta sara guzar gaya

wo jis ki raushni se chamakna tha baKHt ko
kis aasman se wo sitara guzar gaya

kya zikr us ghaDi ka kaDi thi ki sahl thi
jo waqt jis tarah bhi guzara guzar gaya

tafhim-e-dosti mein baDi bhul ho gai
phir dur se hi dost hamara guzar gaya

kar ke yaqin phir se ki main mushkilon mein hun
Thahra nahin wo shaKHs dobara guzar gaya

ek waqt KHush-nasib sa aaya to tha 'adim'
maddham si ek sada mein pukara guzar gaya

mujrim hua tha aankh jhapakne ka main 'adim'
jo zehn mein basa tha nazara guzar gaya