اردو हिंदी
Gham-e-hayat ke pesh-o-aqab nahin paDhta | Shaahi Shayari
gham-e-hayat ke pesh-o-aqab nahin paDhta

Ghazal

Gham-e-hayat ke pesh-o-aqab nahin paDhta

Afsar Mahpuri

;

gham-e-hayat ke pesh-o-aqab nahin paDhta
ye daur wo hai jo sher-o-adab nahin paDhta

koi to baat hai rudad-e-KHun-e-nahaq mein
kahin kahin se wo paDhta hai sab nahin paDhta

kisi ka chehra-e-taban ki mah-e-raKHshanda
jo paDhne wala hai quran wo kab nahin paDhta

wo kaun hai jo tujhe raat din nahin likhta
wo kaun hai jo tujhe roz-o-shab nahin paDhta

wo ab to is qadar izhaar-e-haq se Darta hai
agar likha ho kahin lab to lab nahin paDhta

na jaane in dinon kya ho gaya hai saqi ko
nigah-e-rind mein husn-e-talab nahin paDhta

usi ka rang hai 'afsar' usi ki KHushbu hai
mera kalam koi be-sabab nahin paDhta