ghairon pe khul na jae kahin raaz dekhna
meri taraf bhi ghamza-e-ghammaz dekhna
uDte hi rang-e-ruKH mera nazron se tha nihan
is murgh-e-par-shikasta ki parwaz dekhna
dushnam-e-yar tab-e-hazin par giran nahin
ai ham-nafas nazakat-e-awaz dekhna
dekh apna haal-e-zar munajjim hua raqib
tha sazgar tala-e-na-saz dekhna
bad-kaam ka maal bura hai jaza ke din
haal-e-siphar-e-tafraqa-andaz dekhna
mat rakhiyo gard-e-tarik-e-ushshaq par qadam
pamal ho na jae sar-afraaz dekhna
meri nigah-e-KHira dikhate hain ghair ko
be-taqati pe sarzanish-e-naz dekhna
tark-e-sanam bhi kam nahin soz-e-jahim se
'momin' gham-e-maal ka aaghaz dekhna
Ghazal
Ghairon pe khul na jae kahin raaz dekhna
Momin Khan Momin