galiyan tanKHwah Thahri hai agar baT jaegi
aashiqon ke ghar miThai lab shakar baT jaegi
ru-ba-ru gar hoga yusuf aur tu aa jaega
us ki jaanib se zuleKHa ki nazar baT jaegi
rahzanon mein naz-o-ghamza ki ye jins-e-din-o-dil
jun mata-e-burda aaKHir ham-digar baT jaegi
hoga kya gar bol uTThe ghair baaton mein meri
phir tabiat meri ai bedad gar baT jaegi
daulat-e-duniya nahin jaane ki hargiz tere sath
baad tere sab yahin ai be-KHabar baT jaegi
kar le ai dil jaan ko bhi ranj-o-gham mein tu sharik
ye jo mehnat tujh pe hai kuchh kuchh magar baT jaegi
mung chhati pe jo dalte hain kisi ki dekhna
jutiyon mein dal un ki ai 'zafar' baT jaegi
Ghazal
Galiyan tanKHwah Thahri hai agar baT jaegi
Bahadur Shah Zafar