اردو हिंदी
Fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun | Shaahi Shayari
fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun

Ghazal

Fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun

Faiz Ahmad Faiz

;

fikr-e-dildari-e-gulzar karun ya na karun
zikr-e-murghan-e-giraftar karun ya na karun

qissa-e-sazish-e-aghyar kahun ya na kahun
shikwa-e-yar-e-tarah-dar karun ya na karun

jaane kya waza hai ab rasm-e-wafa ki ai dil
waz-e-derina pe israr karun ya na karun

jaane kis rang mein tafsir karen ahl-e-hawas
madh-e-zulf-o-lab-o-ruKHsar karun ya na karun

yun bahaar aai hai imsal ki gulshan mein saba
puchhti hai guzar is bar karun ya na karun

goya is soch mein hai dil mein lahu bhar ke gulab
daman o jeb ko gulnar karun ya na karun

hai faqat murgh-e-ghazal-KHwan ki jise fikr nahin
moatadil garmi-e-guftar karun ya na karun