fana ke dasht mein kab ka utar gaya tha main 
tumhaara sath na hota to mar gaya tha main 
kisi ke dast-e-hunar ne mujhe sameT liya 
wagarna pat ki surat bikhar gaya tha main 
wo KHush-jamal chaman se guzar ke aaya to 
mahak uThe the gulab aur nikhar gaya tha main 
koi to dasht samundar mein Dhal gaya aaKHir 
kisi ke hijr mein ro ro ke bhar gaya tha main
        Ghazal
Fana ke dasht mein kab ka utar gaya tha main
Ahmad Khayal

