اردو हिंदी
Fana ke dasht mein kab ka utar gaya tha main | Shaahi Shayari
fana ke dasht mein kab ka utar gaya tha main

Ghazal

Fana ke dasht mein kab ka utar gaya tha main

Ahmad Khayal

;

fana ke dasht mein kab ka utar gaya tha main
tumhaara sath na hota to mar gaya tha main

kisi ke dast-e-hunar ne mujhe sameT liya
wagarna pat ki surat bikhar gaya tha main

wo KHush-jamal chaman se guzar ke aaya to
mahak uThe the gulab aur nikhar gaya tha main

koi to dasht samundar mein Dhal gaya aaKHir
kisi ke hijr mein ro ro ke bhar gaya tha main