اردو हिंदी
Ek hum hi to nahin aabla-pa aawara | Shaahi Shayari
ek hum hi to nahin aabla-pa aawara

Ghazal

Ek hum hi to nahin aabla-pa aawara

Akhtar Hoshiyarpuri

;

ek hum hi to nahin aabla-pa aawara
nighat-e-gul bhi hui baad-e-saba aawara

ye kahin umr-e-guzishta to nahin tum to nahin
koi phirta hai sar-e-shahr-e-wafa aawara

kaun manzil ki KHabar de kise manzil ki KHabar
rah-rau aabla-pa rah-numa aawara

dil dhaDakta hai sar-e-sham ki guzrega abhi
wadi-e-shab se koi naghma-sara aawara

ab koi kis se kahe kaifiyyat-e-zaKHm-e-bahaar
sabza begana hai gul chup hain saba aawara