اردو हिंदी
Ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamana | Shaahi Shayari
ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamana

Ghazal

Ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamana

Allama Iqbal

;

ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamana
TuTa hai asia mein sehr-e-firangiyana

tamir-e-ashiyan se main ne ye raaz paya
ahl-e-nawa ke haq mein bijli hai aashiyana

ye bandagi KHudai wo bandagi gadai
ya banda-e-KHuda ban ya banda-e-zamana

ghafil na ho KHudi se kar apni pasbani
shayad kisi haram ka tu bhi hai aastana

ai la ilah ke waris baqi nahin hai tujh mein
guftar-e-dilbarana kirdar-e-qahirana

teri nigah se dil sinon mein kanpte the
khoya gaya hai tera jazb-e-qalandarana

raaz-e-haram se shayad 'iqbaal' ba-KHabar hai
hain is ki guftugu ke andaz mahramana