ehsas ka qissa hai sunana to paDega
har zaKHm ko ab phul banana to paDega
mumkin hai mere sher mein har raaz ho lekin
ek raaz pas-e-sher chhupana to paDega
aankhon ke jaziron pe hain nilam ki qataren
KHwabon ka janaza hai uThana to paDega
chehre pe kai chehre liye phirti hai duniya
ab aaina duniya ko dikhana to paDega
zehnon pe musallat hain siyah soch ke baadal
zulmat mein diya dil ka jalana to paDega
wo dushman-e-jaan jaan se pyara bhi hamein hai
ruThe wo agar us ko manana to paDega
rishton ka yahi wasf hai 'zakir' ki nazar mein
kamzor sahi rishta nibhana to paDega
Ghazal
Ehsas ka qissa hai sunana to paDega
Zakir Khan Zakir