dua ko hath mera jab kabhi uTha hoga
qaza-o-qadr ka chehra utar gaya hoga
jo apne hathon luTe hain bas is pe zinda hain
KHuda kuchh un ke liye bhi to sochta hoga
teri gali mein koi sae raat bhar ab bhi
suragh-e-jannat gum-gashta DhunDta hoga
jo gham ki aanch mein pighla kiya aur aah na ki
wo aadmi to nahin koi dewta hoga
tumhaare sang-e-taghaful ka kyun karen shikwa
is aaine ka muqaddar hi TuTna hoga
hai mere qatl ki shahid wo aastin bhi magar
main kis ka nam lun sau bar sochna hoga
ye meri pyas ke saghar tere labon ki sharab
rawaj-o-rasm-e-mohabbat ka mojaza hoga
phir aarzu ke khanDar rang-o-bu mein Dub chale
fareb-KHurda koi KHwab dekhta hoga
sitare bhi teri yaadon ke bujhte jate hain
gham-e-hayat ka suraj nikal raha hoga
sada kise den 'naimi' kise dikhaen zaKHm
ab itni raat gae kaun jagta hoga
Ghazal
Dua ko hath mera jab kabhi uTha hoga
Abdul Hafiz Naeemi