اردو हिंदी
Dil mera jis se bahalta koi aisa na mila | Shaahi Shayari
dil mera jis se bahalta koi aisa na mila

Ghazal

Dil mera jis se bahalta koi aisa na mila

Akbar Allahabadi

;

dil mera jis se bahalta koi aisa na mila
but ke bande mile allah ka banda na mila

bazm-e-yaran se phiri baad-e-bahaari mayus
ek sar bhi use aamada-e-sauda na mila

gul ke KHwahan to nazar aae bahut itr-farosh
talib-e-zamzama-e-bulbul-e-shaida na mila

wah kya rah dikhai hai hamein murshid ne
kar diya kabe ko gum aur kalisa na mila

rang chehre ka to college ne bhi rakkha qaim
rang-e-baatin mein magar bap se beTa na mila

sayyad uTThe jo gazette le ke to lakhon lae
shaiKH quran dikhate phire paisa na mila

hoshyaron mein to ek ek se siwa hain 'akbar'
mujh ko diwanon mein lekin koi tujh sa na mila