dil mein jo baat hai batate nahin
dur tak hum kahin bhi jate nahin
aks kuchh der tak nahin rukte
bojh ye aaine uThate nahin
ye nasihat bhi log karne lage
is tarah muft dil ganwate nahin
dur basti pe hai dhuan kab se
kya jala hai jise bujhate nahin
chhoD dete hain ek sharar benam
aag lag jati hai lagate nahin
bhul jaana bhi ab nahin aasan
warna ye KHiffaten uThate nahin
aap apne mein jalte bujhte hain
ye tamasha kahin dikhate nahin
Ghazal
Dil mein jo baat hai batate nahin
Abdul Hamid