dil ko dil se kaam rahega
donon taraf aaram rahega
subh ka tara puchh raha hai
kab tak daur-e-jam rahega
badnami se kyun Darte ho
baqi kis ka nam rahega
zulf-e-pareshan hi achchhi hai
aalam zer-e-dam rahega
mufti se jhagDa na 'adam' kar
us se aksar kaam rahega
Ghazal
Dil ko dil se kaam rahega
Abdul Hamid Adam