اردو हिंदी
Dil hua hai mera KHarab-e-suKHan | Shaahi Shayari
dil hua hai mera KHarab-e-suKHan

Ghazal

Dil hua hai mera KHarab-e-suKHan

Wali Mohammad Wali

;

dil hua hai mera KHarab-e-suKHan
dekh kar husn-e-behijab-e-suKHan

bazm-e-mani mein sarKHushi hai use
jis kun hai nashsha-e-sharab-e-suKHan

rah-e-mazmun-e-taza band nahin
ta-qayamat khula hai bab-e-suKHan

jalwa-paira ho shahid-e-mani
jab zaban sun uThe naqab-e-suKHan

gauhar us ki nazar mein ja na kare
jin ne dekha hai aab-o-tab-e-suKHan

harja-goyan ki baat kyunki sune
jo suna naghma-e-rabab-e-suKHan

hai teri baat ai nazakat-e-fahm
lauh-e-dibacha-e-kitab-e-suKHan

hai suKHan jag manin adim-ul-misal
juz suKHan nin duja jawab-e-suKHan

ai 'wali' dard-e-sar kabhu na rahe
jab mile sandal-o-gulab-e-suKHan