اردو हिंदी
Dil apni talab mein sadiq tha ghabra ke su-e-matlub gaya | Shaahi Shayari
dil apni talab mein sadiq tha ghabra ke su-e-matlub gaya

Ghazal

Dil apni talab mein sadiq tha ghabra ke su-e-matlub gaya

Shad Azimabadi

;

dil apni talab mein sadiq tha ghabra ke su-e-matlub gaya
dariya se ye moti nikla tha dariya hi mein ja kar Dub gaya

ahwal-e-jawani piri mein kya arz karun ek qissa hai
wo tarz gai wo waza gai andaz gaya uslub gaya

la-raib KHamoshi ne teri tasir dikha di maston ko
be-bak jo mai-kash tha saqi us bazm se wo mahjub gaya

be-rahila-wa-be-zad-e-safar rahmat pe bharosa farma kar
jo mulk-e-adam mein basne ko is tarah gaya wo KHub gaya

bad-haal bahut tha us par bhi ai yar kisi ne li na KHabar
baD mar ke tere kuche se aaKHir ko tera majzub gaya

rizwan ne kiya dar KHuld ka wa huren huin sadqe aa aa kar
ghilman ne qadam chume us ke jo teri taraf mansub gaya

taqat jo nahin ab hairat se taswir ka aalam rahta hai
wo aaKHir-e-shab ki aah gai wo laghra-e-mahbub gaya

yan apni saza bhugTi us ne rahmat ki nazar hogi us par
har-chand KHata-kar-e-ulfat kuche se tere matub gaya

hairat hai abas ai jo in besh-baha mansubon par
is tarah ke moti tab nikle jab zer-e-zamin main Dub gaya

kya us ka sabab main arz karun kuchh waqiye aise pesh aae
main rota hua aaya tha yahan chup yan se gaya marub gaya

kuche mein tere ab 'shad' nahin le pak KHuda ne ki ye zamin
sad shukr sara-e-fani se aaKHir wo sag-e-mayub gaya