اردو हिंदी
Dhup the sab raste darkar tha saya hamein | Shaahi Shayari
dhup the sab raste darkar tha saya hamein

Ghazal

Dhup the sab raste darkar tha saya hamein

Zakir Khan Zakir

;

dhup the sab raste darkar tha saya hamein
ek sarab-e-KHush-numa ne aur tarsaya hamein

dil zamin par us ka chehra naqsh ho kar rah gaya
barha phir aaine ne KHud hi Thukraya hamein

dhup sahra dhul dariya KHar raston ki chubhan
manzilon ke shauq ne kya kya na dikhlaya hamein

mustarad karta gaya hai dilruba chehron ko dil
baad us ke koi chehra kab bhala bhaya hamein

hum kahin matub the majzub the mahbub the
jis ki jaisi thi nazar us ne wahi paya hamein

dard-o-rahat wasl-o-furqat ishq ke hain rang-o-rup
jate jate us ne 'zakir' KHub samjhaya hamein