dekhiye chalta hai paimana kidhar se pahle
bazm mein shor hai har samt idhar se pahle
gham ki tarik ghaTaon se pareshan na ho
tirgi hoti hai aasar-e-sahar se pahle
aap jis rahguzar se hain guzarne wale
hum guzar aae hain us rahguzar se pahle
mujh se dekhe nahin jate hain kisi ke aansu
ponchh lo ashk zara dida-e-tar se pahle
husn wale to bahut phirte hain har su lekin
tum sa koi nahin guzra hai nazar se pahle
ek manzil hai magar rah kai hain 'azhar'
sochna ye hai ki jaoge kidhar se pahle
Ghazal
Dekhiye chalta hai paimana kidhar se pahle
Azhar Lakhnawi