اردو हिंदी
Dekh lo shauq-e-na-tamam mera | Shaahi Shayari
dekh lo shauq-e-na-tamam mera

Ghazal

Dekh lo shauq-e-na-tamam mera

Momin Khan Momin

;

dekh lo shauq-e-na-tamam mera
ghair le jae hai payam mera

be-asar hai fughan-e-KHun-alud
kyun na hoe KHarab kaam mera

aatishin KHu se aarzu-e-visal
pak gaya ab KHayal-e-KHam mera

dekhna kasrat-e-bala-noshi
kasa-e-asma۔n hai jam mera

rutba uftadgi ka dekho hai
arsh ke bhi pare maqam mera

kis sanam ko chhuDa diya waiz
le KHuda tujh se intiqam mera

ho ke yusuf jo dil churaate ho
kaun ho jaega ghulam mera

us lab-e-lal ki shikayat hai
kyunki rangin na ho kalam mera

tu ne ruswa kya mujhe ab tak
koi bhi jaanta tha nam mera

zanu-e-but pe jaan di dekha
'momin' anjam-o-iKHtitam mera

bandagi kaam aa rahi aaKHir
main na kahta tha kyun salam mera