اردو हिंदी
Daur saghar ka chale saqi dobara ek aur | Shaahi Shayari
daur saghar ka chale saqi dobara ek aur

Ghazal

Daur saghar ka chale saqi dobara ek aur

Aagha Akbarabadi

;

daur saghar ka chale saqi dobara ek aur
abr kaba se uTha hai man kahna ek aur

jhumta aata hai wo baadal ka TukDa ek aur
saqiya bhar kar pila de jam-e-sahba ek aur

din ko jo kuchh tum ne dekha ye to thi sab dil-lagi
shab ko rah jao to dikhlaen tamasha ek aur

main unhen kahta hun tum bedard ho na-ashna
wo lagate hain mujhe ilzam ulTa ek aur

dil ko nafrat ho gai nazron se aaKHir gir gae
tum se behtar apni aaankhon mein samaya ek aur

kyun sisakta chhoDe jate ho mujhe maqtal mein tum
faisla kar dun main qurban de ke charka ek aur

tere aane mein tawaqquf jab hua ai nama-bar
KHat unhen bechain ho kar hum ne likkha ek aur

band mahram ke khule kuchh be-hijabi ho chuki
wo bhi ab uTh jae jo baqi hai parda ek aur

dost dushman ho gae yaron ne aankhen pher lin
rah gaya hai aap ka mujh ko bharosa ek aur

wasl ki shab mein kiya murgh-e-sahar ka band-o-bast
nara-e-allahu-akbar ka hai dhaDka ek aur

ho chuka zikr-e-dahan wasf-e-kamar likhte hain hum
dam mein sayyaad ke phansta hai anqa ek aur

said ki kasrat se 'agha' ban paDi sayyaad ki
do ne gar pai rihai aa ke uljha ek aur