charagh samne wale makan mein bhi na tha
ye saneha mere wahm-o-guman mein bhi na tha
jo pahle roz se do aanganon mein tha hail
wo fasla to zamin aasman mein bhi na tha
ye gham nahin hai ki hum donon ek ho na sake
ye ranj hai ki koi darmiyan mein bhi na tha
hawa na jaane kahan le gai wo tir ki jo
nishane par bhi na tha aur kaman mein bhi na tha
'jamal' pahli shanasai ka wo ek lamha
use bhi yaad na tha mere dhyan mein bhi na tha
Ghazal
Charagh samne wale makan mein bhi na tha
Jamal Ehsani