charagh-e-yaad ki lau ham-safar kahan tak hai
ye raushni meri dahliz par kahan tak hai
bas ek tum the ki jo dil ka haal jaante the
so ab tumhein bhi hamari KHabar kahan tak hai
musafiran-e-junun gard ho gae lekin
khula nahin ki teri rahguzar kahan tak hai
har ek lamha badalti hui kahani mein
hikayat-e-gham-e-dil mo'tabar kahan tak hai
zamin ki aaKHiri had par pahunch ke sochta hun
yahan se mausam-e-diwar-o-dar kahan tak hai
bichhaDne walon ko andaza hi nahin hota
tu ham-safar hai magar ham-safar kahan tak hai
ajib log hain aazadiyon ke mare hue
qafas mein puchhte phirte hain ghar kahan tak hai
Ghazal
Charagh-e-yaad ki lau ham-safar kahan tak hai
Saleem Kausar