chahaten mausami parinde hain rut badalte hi lauT jate hain
ghonsle ban ke TuT jate hain dagh shaKHon pe chahchahate hain
aane wale bayaz mein apni jaane walon ke nam likhte hain
sab hi auron ke KHali kamron ko apni apni tarah sajate hain
maut ek wahima hai nazron ka sath chhuTta kahan hai apnon ka
jo zamin par nazar nahin aate chand taron mein jagmagate hain
ye musawwir ajib hote hain aap apne habib hote hain
dusron ki shabahaten le kar apni taswir hi banate hain
yun hi chalta hai karobar-e-jahan hai zaruri har ek chiz yahan
jin daraKHton mein phal nahin aate wo jalane ke kaam aate hain
Ghazal
Chahaten mausami parinde hain rut badalte hi lauT jate hain
Nida Fazli