chahat ghamze jata rahi hai
wahshat sahra dikha rahi hai
ghunchon ka jigar hila rahi hai
bulbul kya gul khila rahi hai
yusuf ka pata laga rahi hai
KHushbu kanan mein aa rahi hai
shirin kya rang la rahi hai
aashiq ka lahu baha rahi hai
kis shoKH ko dijiye dil-e-zar
kis mein sahab wafa rahi hai
aawaza-e-faiz hai jahan mein
jis ki shohrat sada rahi hai
Dain hai pari-washon ki furqat
dil kha ke kaleja kha rahi hai
jaan nazar hui pari-ruKHon ki
miTTi ko hawa uDa rahi hai
chahat ki kashish ne lo Dubo di
yusuf ko kunen jhuka rahi hai
dil mein jo base hue hain gul-ru
surKHi aaankhon mein chha rahi hai
gahta hun jabin ko pa-e-but se
taqdir likha miTa rahi hai
hanste hue dekh kar gulon ko
shabnam aansu baha rahi hai
andher ka aaj samna hai
surma wo pari laga rahi hai
kyun jaan nahin nikalti 'agha'
kaise sadme uTha rahi hai
Ghazal
Chahat ghamze jata rahi hai
Aagha Akbarabadi