but bane rah takoge kab tak
aas ki aanch sahoge kab tak
sar uTha kar kabhi dekho to sahi
dil ki duniya mein basoge kab tak
jis ne apni bhi KHabar li na kabhi
tum use yaad karoge kab tak
ham-safar ho to koi apna-sa
chand ke sath chaloge kab tak
koi patta hai na buTa hai na gul
dasht ko bagh kahoge kab tak
har taraf aag barasti hai yahan
kis tawaqqoa pe rahoge kab tak
aandhiyan tez hui jati hain
ghar bulata hai chaloge kab tak
koi ja kar nahin aata 'shohrat'
surat-e-shama ghuloge kab tak
Ghazal
But bane rah takoge kab tak
Shohrat Bukhari