اردو हिंदी
Bikhar gaya hai jo moti pirone wala tha | Shaahi Shayari
bikhar gaya hai jo moti pirone wala tha

Ghazal

Bikhar gaya hai jo moti pirone wala tha

Jamal Ehsani

;

bikhar gaya hai jo moti pirone wala tha
wo ho raha hai yahan jo na hone wala tha

aur ab ye chahta hun koi gham baTae mera
main apni miTTi kabhi aap Dhone wala tha

tere na aane se dil bhi nahin dukha shayad
wagarna kya main sar-e-sham sone wala tha

mila na tha pa bichhaDne ka gham na tha mujh ko
jala nahin tha magar rakh hone wala tha

hazar tarah ke the ranj pichhle mausam mein
par itna tha ki koi sath rone wala tha