اردو हिंदी
Bikhar bikhar gae alfaz se ada na hue | Shaahi Shayari
bikhar bikhar gae alfaz se ada na hue

Ghazal

Bikhar bikhar gae alfaz se ada na hue

Zafar Iqbal

;

bikhar bikhar gae alfaz se ada na hue
ye zamzame jo kisi dard ki dawa na hue

safar mein gosh bar aawaz tha har ek zarra
khula tha samne sahra hamein sada na hue

nai hawa mein mahak hai purane patton ki
jo KHak ho gae par shaKH se juda na hue

hawa ke sath kai ashk se uDe to sahi
kisi to retili miTTi ka aab-o-dana hue

ghazal mein the bahut aazada-ru 'zafar' lekin
talazumat ki zanjir se riha na hue