bich jangal mein pahunch ke kitni hairani hui
ek sada aai achanak jaani-pahchani hui
phir wahi chhat par akele hum wahi ThanDi hawa
kitne andeshe baDhe jab raat tufani hui
ho gai dur an-ginat viran guzargahon ki koft
ek basti se guzarne mein wo aasani hui
us ne barish mein bhi khiDki khol ke dekha nahin
bhigne walon ko kal kya kya pareshani hui
gard-e-rah ke baiThte hi dekhta kya hun 'jamal'
jaani-pahchani hui har shakl an-jaani hui
Ghazal
Bich jangal mein pahunch ke kitni hairani hui
Jamal Ehsani