اردو हिंदी
Bich jangal mein pahunch ke kitni hairani hui | Shaahi Shayari
bich jangal mein pahunch ke kitni hairani hui

Ghazal

Bich jangal mein pahunch ke kitni hairani hui

Jamal Ehsani

;

bich jangal mein pahunch ke kitni hairani hui
ek sada aai achanak jaani-pahchani hui

phir wahi chhat par akele hum wahi ThanDi hawa
kitne andeshe baDhe jab raat tufani hui

ho gai dur an-ginat viran guzargahon ki koft
ek basti se guzarne mein wo aasani hui

us ne barish mein bhi khiDki khol ke dekha nahin
bhigne walon ko kal kya kya pareshani hui

gard-e-rah ke baiThte hi dekhta kya hun 'jamal'
jaani-pahchani hui har shakl an-jaani hui