bichhaD gaya hai to ab us se kuchh gila bhi nahin
ki sach to ye hai wo ek shaKHs mera tha bhi nahin
main chahta hun use aur chahne ke siwa
mere liye to koi aur rasta bhi nahin
ajib rahguzar thi ki jis pe chalte hue
qadam ruke bhi nahin rasta kaTa bhi nahin
dhuan sa kuchh to miyan barf se bhi uThta hai
so dil-jalon ka ye aisa koi pata bhi nahin
ragon mein jamte hue KHun ki tarah hai 'saud'
wo harf-e-hijr jo us ne abhi kaha bhi nahin
Ghazal
BichhaD gaya hai to ab us se kuchh gila bhi nahin
Saud Usmani