bhala kab dekh sakta hun ki gham nakaam ho jae
jo aaram-e-dil-o-jaan hai wo be-aram ho jae
mohabbat kya agar yun surat-e-ilzam ho jae
nazar nakaam aur zauq-e-nazar badnam ho jae
qayamat hai agar yun zindagi nakaam ho jae
wo pahlu mein na hon aur garmiyon ki sham ho jae
gham-e-dil hai magar aaKHir gham-e-dil kya kahe koi
fasana muKHtasar ho kar jab un ka nam ho jae
mohabbat rah chuki aur matam-e-anjam baqi hai
wo aankhen ashk bhar laen to apna kaam ho jae
baDi hasrat se insan bachpane ko yaad karta hai
ye phal pak kar dobara chahta hai KHam ho jae
jiya lekin mera jina kisi ke bhi na kaam aaya
main marta hun ki shayad zindagi paigham ho jae
'nushur' ahbab-e-KHush-dil ko zara hans bol lene do
qayamat hai agar ehsas-e-shair aam ho jae
Ghazal
Bhala kab dekh sakta hun ki gham nakaam ho jae
Nushur Wahidi