bhaDka rahe hain aag lab-e-naghmagar se hum
KHamosh kya rahenge zamane ke Dar se hum
kuchh aur baDh gae jo andhere to kya hua
mayus to nahin hain tulu-e-sahar se hum
le de ke apne pas faqat ek nazar to hai
kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se hum
mana ki is zamin ko na gulzar kar sake
kuchh KHar kam to kar gae guzre jidhar se hum
Ghazal
BhaDka rahe hain aag lab-e-naghmagar se hum
Sahir Ludhianvi