bhaga to bahut tha maut se main kam-baKHt ne lekin aan liya
un lakhon hi marne walon mein kya jald mujhe pahchan liya
jab qatl hua main taDpa bhi chhinTen bhi uDain man liya
ilzam KHud us par kya ye nahin daman ko na kyun gardan liya
tu aam farebi mujh se na kar hum mard hain sun le ai duniya
jo munh se kaha wo kar guzre jo Than liya wo Than liya
aqsam the yas-o-hasrat ke asnaf-e-umid-e-behad ke
jab chalne lage hum duniya se sath apne bahut saman liya
jis hath se mujh ko qatl kiya us hath ka kalima paDhwaya
li jaan to KHair ehsan kiya qatil ne magar iman liya
mai-KHana hai ja-e-aish-o-tarab yan baiTh ke rona kya mani
kya muft ka apne sar tu ne ai dida-e-tar tufan liya
us ghar mein karam jab tu ne kiya kuchh der Thahar ai tir-e-nazar
bosa tere qadmon ka dil ne kis shauq se ai mehman liya
aaram-talab hone ka guman juya pe tere la-haul wala
tab panw ko toDe baiTha hun jab dasht-o-jabal ko chhan liya
jis bhes mein tu ho kya parwa aainda na khaegi dhoka
ai talib-e-duniya duniya ne har tarah tujhe pahchan liya
thi dhaar rag-e-gardan pe meri sina bhi daba tha qadmon se
KHanjar ka tere bosa hum ne munh pher ke ta-imkan liya
ai 'shad' abas hai us ka gila wo hajw kare ya tujh se phire
ta-hashr raha shagird tera ustad tujhe jab man liya
Ghazal
Bhaga to bahut tha maut se main kam-baKHt ne lekin aan liya
Shad Azimabadi