be-Thikane hai dil-e-gham-ghin Thikane ki kaho
sham-e-hijran dosto kuchh is ke aane ki kaho
han na puchh ek giraftar-e-qafas ki zindagi
ham-safiran-e-chaman kuchh aashiyane ki kaho
uD gaya hai manzil-e-dushwar mein gham ka samand
gesu-e-pur-pech-o-KHam ke taziyane ki kaho
baat banti aur baaton se nazar aati nahin
is nigah-e-naz ki baaten banane ki kaho
dastan wo thi jise dil bujhte bujhte kah gaya
sham-e-bazm-e-zindagi ke jhilmilane ki kaho
kuchh dil-e-marhum ki baaten karo ai ahl-e-ilm
jis se virane the aabaad us diwane ki kaho
dastan-e-zindagi bhi kis qadar dilchasp hai
jo azal se chhiD gaya hai us fasane ki kaho
ye fusun-e-nim-e-shab ye KHwab-saman KHamushi
samri fan aankh ke jadu jagane ki kaho
koi kya khaega yun sachchi qasam jhuTi qasam
us nigah-e-naz ki saugandh khane ki kaho
sham hi se gosh-bar-awaz hai bazm-e-suKHan
kuchh 'firaq' apni sunao kuchh zamane ki kaho
Ghazal
Be-Thikane hai dil-e-gham-ghin Thikane ki kaho
Firaq Gorakhpuri