اردو हिंदी
Bas is taqsir par apne muqaddar mein hai mar jaana | Shaahi Shayari
bas is taqsir par apne muqaddar mein hai mar jaana

Ghazal

Bas is taqsir par apne muqaddar mein hai mar jaana

Asrar-ul-Haq Majaz

;

bas is taqsir par apne muqaddar mein hai mar jaana
tabassum ko tabassum kyun nazar ko kyun nazar jaana

KHirad walon se husn o ishq ki tanqid kya hogi
na afsun-e-nigah samjha na andaz-e-nazar jaana

mai-e-gulfam bhi hai saz-e-ishrat bhi hai saqi bhi
bahut mushkil hai aashob-e-haqiqat se guzar jaana

gham-e-dauran mein guzri jis qadar guzri jahan guzri
aur is par lutf ye hai zindagi ko muKHtasar jaana