bahaar aai zamana hua KHarabaati
hamare dil mein bhi ek lahr kash aa jati
hawa bhi sard hai bhigi hai raat bhi lekin
sulag rahi hai kisi aag se meri chhati
mere paDos mein ye zikr hai kai din se
sada jo aati thi rone ki ab nahin aati
laga ke sine se shadabiyon ko so jata
mujhe bahaar-e-jawani mein maut aa jati
baja raha hai koi raat mein sitar 'aKHtar'
dhaDak rahi hai meri aarzuon ki chhati
Ghazal
Bahaar aai zamana hua KHarabaati
Akhtar Ansari