اردو हिंदी
Badal-e-lazzat-e-azar kahan se laun | Shaahi Shayari
badal-e-lazzat-e-azar kahan se laun

Ghazal

Badal-e-lazzat-e-azar kahan se laun

Hasrat Mohani

;

badal-e-lazzat-e-azar kahan se laun
ab tujhe ai sitam-e-yar kahan se laun

pursish-e-haal pe hai KHatir-e-jaanan mail
jurat-e-koshish-e-izhaar kahan se laun

hai wahan shan-e-taghaful ko jafa se bhi gurez
iltifat-e-nigah-e-yar kahan se laun

nur anqa hai shab-e-hijr ki tariki mein
jalwa-e-subh ke aasar kahan se laun

sohbat-e-ahl-e-safa KHub hai mana lekin
raunaq-e-KHana-e-KHummar kahan se laun

sher mere bhi hain pur-dard wa-lekin 'hasrat'
'mir' ka shewa-e-guftar kahan se laun